Google Hum Par Kaise Rakhta hai Najar [Google Tracking] Tips & Tricks
Internet Aaj Hamari Jindgi me kitne maine rakhta hai ye to sab samajte hi hai. Aaj hame kahi jane ki jarurat nahi padti ham ghar bhate hi Shoping kar sakte hai, Mobile Recharge kar sakte hai.. Par kya aapko pata hai Is tej raftar online jindgi me hamari jo bhi gati bidhiya hota hai wo track hoti hai.
Friends jab apko ye pata chalega ki dunia ka no.1 Search Engine hum par har samay, hamare har ek action ko track kar rha hai. To apko kafi herani hogi lekin ye sach hai ki Google hum pe har samay humare har gatividhiyo, Pasand na Pasand aur Contact par kadi nigrani rakhta hai.
Also Read: Google ke Most Important URLs jo aapko pata hona chaiye
Google Kis Trha Rekhta Hai Ham Par Najar
Google ki bhut si servires hai hai jo kahi na kahi hamari jindgi se judi hui hai jese Gmail, Google+, Youtube, Google Map … Par Google hame achi service dene ke liye hamari puri gati bidiyo par Najar rakhata hai.
To chaliye sabse pahle hum ye janate hai ki google ye sab karta kaise hai.
#1: Google Search Engine
Google Search Engine ek aisa search Engine hai jis sayad hi koi use na karta ho. Aur ye baat bhi sach hai ki sayad hi koi iski najaro se bach paya hai. Kyonki Internet pe khulne wale jyatar Website Google se Search kr ke kholi jati hai. Ye apke dwara search kiye gaye Keywords aur click ki gai site ke sambhit jankari store karte rhta hai taki ye apke ruchiyo aur pasand na pasand ko samajh sake.
Iska Faida ye hai ki fir aage agar ham koi chij search karte hai to hamare interest ke hisab se hi search reslut aayege.. Jese Maanlo agar me Apple Mobile use karta hu or uske bare me kuch na kuch search karta rhata hu.. or agar me sirf Apple search karu to mere search result me Apple Mobile Company aayegi.. par agar koi jo fal-fruit ke bare me search karta rhata hai to uske result me Apple (saf) aayege..
#2: Youtube
Dunia me sabse jyada Videos search kar ke dekhe jana wala Youtube Google ka hi ek Service hai. Aur ye bhi apke Ruchiyo, Pasand na Pasand ki jakari Google ko bhejta rahta hai.
#3: Chrome Browser
Mujhe jayada samjhane ki jarurat nahi hai ki Chrome bhi Google ki hi hai. And ye apke dawra khoji ja rhi har chijo se sambhit jankari Google ko bhejta rhta hai. Safari, Firefox bhi track karte hai gati bidiyo ko.
#4: Android
Aaj kal Smart Phones me sabse jyda use hone wala OS Android hai. Aur ye humare phone me huve har gatividhiyon ki jankari Google tak pahunchata rhta hai. Android Smart Phone hamesha hamare sath hota hai isliye Google hum pe iski madat se har samay nigrani rakhta hai.
#5: Google Analytics :
google Analytics ke dwara aap apne website ke visitors ki sankhya aur unke pasand na pasand ko jan sakte hai. Ye blog visitors ki puri jankari hume deta hai. Lekin ye baat bhi utni hi sach hai ki jitni jankari ye hume nahi deta balki usse jyada humari jankari Google ko bhej deta hai.
#6: Google Adsense :
Google Adsense ke bare me batane ki jarurat nahi hai fir bhi bata deta hu ki ye Google ki Ads Network hai jo aam tor pe har Website pe laga hota hai. Jahir si bat hai ki iske Ads code jahan – jahan lage honge vahan – vahan apki upastithi darj ki jayegi. Aur iski suchna Google ko bheji jayegi.
#7: Gmail
Aapke dwara Send aur Receive ki gai Emails ko Google pahle check karti hai. Fir jakar apko mail milta hai.
#8: Google Plus :
Ye google ki social networking site hai aur jahir si baat hai ki ise use karne wale har bande ki jankari Google ke pass hoti hai. To Friends dekha apne ki Google hum pe anytime kis prakar se nigrani rakhta hai.
#9: Google Map
Google Map jis par ham kisi bhi jagha ka naksa dekh sakte hai.. par ham jab bhi isme koi location search karte hai ya navigation chalu karte hai to Google ke pass hamari Physical location bhi chali jati hai.
Ab apke man me sawal ye uth rha hoga ki Google humare data ko store kar ke karta kya hai, Hai na! To main apko bata du ki Google humare Ruchiyo aur Pasand na Pasand ko jan kar usi hisab se Advertise display karvata hai aur paise kamata hai. Ya ek prakar se kahe to ye ek tarika hai Google ke paise kamane ka.
I hope friends apko meri ye jakari achhi lagi hogi aur aap is Post ko Share jarur karenge… Thank You!
No comments
Post a Comment