Breaking News

Learn PhotoShop in Hindi Free Full Video Tutorial

Learn Photoshop by Hindi Tutorials on TouTube in Hindi
Dosto aaj is post me Ham janege ki PhotoShop ko video tutorials ke sath kaise sikhe. Jiske liye is post me top 5 YouTube channel apko bataye jayenge taki un Channel se ap free me Photoshp ko sikh sake.

PhotoShop Kaha kaam ata hai?

Iska use sabse jyada business line me hota hai, jaise wedding pics designing, Graphic designing, Web designing, Infographic Designing etc.
Kai log ise entertainment ke liye bhi use me lete hai.
Well maine bhi starting me PhotoShop ka use entertainment me pic edit karne ke liye hi kiya tha. Lekin aaj me fotoshop ka use graphic designing ke liye use karta hu.

Entertairment ke liye:

  1. Agar aap apni image design karna chahte hai Facebook ya WhatsApp ki profile picture ke liye tab Photoshop best hai.
  2. Apni picnics, holidays ki album ke pic ko edit kar sakte hai.
  3. Funny pics bana sakte hai.

Business ke liye:

  1. Agar aap ek blogger hai to apke content ki har pic isme hi design ki ja sakti hai.
  2. Agar aap ek graphic desinger banna chahte hai tab Fotoshop apke liye kafi helpful rah sakta hai.
  3. Agar ap ek blogger hai, aur apka ek blog hai jis ke liye aap ek infographic design karna chahte hai tab bhi aap Photoshop ka use kar sakte hai.
  4. Logo designing, banner aur advertisement designing me iska use kar sakte hai etc.

Kaise Sikhe PhotoShop

halanki Photoshop ko sikhne ke liye kai book bhi hai aur kai website bhi hai jo text se sikhate hai lekin Photosop ko sikhne ka sabse bahtarin tarika hai ise video tutorials se sikhe.
Aur isiliye maine is post me 5 ese YouTube channel bataye hai jo bahut hi achhe dhand se Hindi Video tutorials se free me Fotoshop sikhate hai wo bhi beginner (Photoshop ke new user) ke liye.

List of Channels Name

  1. Jessie Dillon
  2. Professor Vfx
  3. Media Masters
  4. Abhijeet Sojwal
  5. Sanjay Makar
  6. Arun Kumar
to ye maine 5 YouTube ke channel bataye hai mujhe ummid hai in Channels se aap Photoshop ko achhe se sikh sakte hai,
Lekin phir bhi iske alawa bhi kai chije ya topic Google par search karke bhi sikhi jaa sakti hai.

In Tutorials ka sahi dhang se use karke kaise sikhe?

Mera yah hamehsa manna hota hai ki koi bhi chij ko achhe dhand se sikhna hai to wo hai practise, yani practical karke sikhe na ki kewal theoretical knowledge me hi rahe.
To uske liye agar aap in channels par koi bhi video dekh rhe hai tab Photoshop ko open hi rakhe aur sath me aap bhi dekhe ki yah kis tarah se hota hai.
Is tarah se nahi kare ki ek bar puri video dekh li aur fir Photoshop open karke use karne ki kosis kar rhe hai. Kyonki is tarah se bhula ja sakta hai ki video me kya btaya tha aur apko kya karna hai.
My Advice: meri advice yahi hogi ki ek bar puri video ko dekh le, then Foto Shop ko open kare, fir se us video ko play kare aur is bar har thodi bar video ko pause kare Fotoshop par jakar us option ko, us tool ko, us tarike ko samjhe.
Waise hamne yeah socha hai ki ab HindiMeHelp par Photoshop se related bhi post ki jaye apka kya khayal hai?
Agar aap chahte hai ki ab PhotoShop ko bhi sikhaya jaye to abhi comments ke madhyam se bataye.

No comments