Breaking News

Pendrive Se Shortcut Virus kaise Htaye Hamesa ke liye Sikhe Hindi Me

Pendrive Se Shortcut Virus kaise Htaye Hamesa ke liye
Dosto aap pendrive toh use krte hi hoge. College ke computer me, office ke computer me ya kisi friend ke computer se koi Data lene ke liye pendrive ka jyadater istemaal hota hai. Aise me kbhi kbhi aapke pendrive me shortcut wala virus aa jata hai. Jo aapke file aur folder ko shortcut bna deta hai. Aur wo file open bhi nahi hoti hai. Aur yah aisa virus hai jo Kisi normal antivirus se bhi delete nahi hota hai.
Iss post me aapko btaunga ki aap apne pendrive se shortcut virus kaise remove karenge.

Pendrive Se Shortcut Virus hatane ke Tarike

1. CMD ke dwaraShortcout Viras hataye:

Aap apne computer me CMD (Command Prompt) ke jariye shortcut virus ko remove kar skte hai hain. Iss Method se 95% chances rhte hai virus ko htane me .

CMD dwara iss virus ko remove karne ke liye steps ko follow kare:

Step 1: Sbse phle CMD window open kar lijiye. CMD window open karne ke liye Star par click kare aur RUNme jaaye. Fir ek dialog box open hoga usme CMD type kare. Fir Enter par click kare.
Step 2: Jab aapka CMD open ho jayega tb aapko C drive ka path milega. Lekin aapko apne pendrive ka shortcut remove krna hai toh aapko Pendrive ka Path dena pdega.
Step 3: Pendrive ka path dene ke liye pendrive ke name kea age jo Letter hoga usko likh ke Enter kr dijiye. Jaise maan lijiye mere pendrive ka letter “I” hai toh maine (“ I: “) likh diya.
cmd ki madad se pendrive ke virus hataye1
Step 4: Ab aap pendrive ke path me chle jayenge. Ab aapko type krna hai :  attrib i:. /d /s -h -r –s. Dhyan rhe aap “I” ke jagah par apna pendrive letter likhe.
cmd ki madad se pendrive ke virus hataye2
Step 5: Attib likhne ke baad Enter kar dijiye. Aur wait kijiye jbtk cmd process kar rha hai. Iske baad aapne Pendrive se shortcut virus remove ho jayega.

2. Software ke dwara

Agar aap kisi software ke help se iss virus ko remove krna chahte hai toh aap ek software ka use krke bhi iss shortcut virus ko remove kar skte hai. iss Software ka naam hai “USBFix“.

USB Fix se shortcut virus kaise htaye:

Step 1: Sbse phle aap “USBFix” software yaha se download kar lijiye .
Step 2: USBFix ko install kar lijiye fir apne system ko restart kijiye.
Step 3: Fir apne Pendrive ko apne system me connect kr lijiye. Jisme shortcut virus wali file hai.
Step 4: USBFix software me aapko ek Clean naam ka option milega. Uspr clik kr dijiye.
usbfix ki madad se pendrive ke virus hataye
Step 5: Ab aap wait kijiye jb tk USBFix software aapke shortcut virus ko remove krta hai.
Iss tarah se aap apne pendrive ke shortcut virus ko easily remove kar skte hai. Yah dono method bahut hi effective method hai. Agar aapko yah post helpful lga toh kripya apne dosto ke jarur share kare.

No comments